skip to main |
skip to sidebar
Beautiful Golden Sayings by Hazrat Ali A.S
- " Alim Jahil Ka Haal Janta Hay Kyun K Wo Jahil Reh Chuka Hay,Lekin Jahil Alim Ka Haal Nai Janta Kyun K Wo Alim Nai Raha "
- Mujhe Es Duniya Se Kya Lena! Jis K " Hallal " Mein Hisab Or " Haram " Mein Azaab Hai.
- "Apna Sar Ooncha Rkho k Tum Kisi Se Nhi Darty Lekin Apni Nigahei'n Neechi Rkho Ta k Pata Chaly k tum Ek Ba-IzzaT Ghraney Se Ta'aluq Rakhty Ho"
- "Khush-Ikhlaq Logon Se Khush-Ikhlaqi Se Pesh Aana Kamal Nahi.Magar Baad-Ikhlaq Logon Se Khush-Ikhlaqi Se Paish Aana Kamal Hai"
- "Mushkil Tareen Kaam Behtareen Logon K Hissay Mein Aaty hain, Kyun K Wo Usay Hall Karny Ki Salahiyat Rakhty Hyn"
- "Ache logo'n ki sohbat se bhalai haath aati hy, Jese hawa jab khushbudar cheez k paas se guzrey tou khushbudar ho jati hai..."
- " Nadan Log Dulat K Liye Dil Ka Chain Luta Dyte Hain Or Danish'Mand Dil K Chain K Liye Dulat Luta Dyte Hain"
- "Aye Suraj Gawah Rehna K Hamesha''ALI'' ny tujhy Ubhartay dekha hay Magar Tu Ny ''ALI''KO kabhi Sotay Nahi Paya"
- "Azeem Hyn Wo Log Jo Shahadat Ka Intikhab Kerty Hyn Lekin In Se Bhi AZEEM Wo Log Hyn Jin Ka Intikhab Khud Shahadat Kerti Hy"
- "Momin" Ki Misal Tarazu Kay Palrey Jaisi Hai. Jis Qadar Us k Emaan Ma Izaafa Hota Hai Utni Hi Uski Aazmaish Barhti Hai.."
- "Insaan Ka Nuqsaan Maal Aur Jaan Ka Chalay Jana Nahi, Insan Ka Sab Se Bara Nuqsaan Kisi Ki Nazar Se Gir Jana Hai."
- "Zndgi ko ZARORIAT mein rakho Khwaishat ki taraf na le jao, Zaroriat Faqiro'n ki b PURI hoti hyn Aur Khwahishat Badshaho'n ki b BAQI reh jati hyn"
- "Soorat" aur "Seerat" mein sab se bara farq ye hy k Soorat "Dhoka" deti hy Jab k Seerat "Pehchan" karati hy...!
- "Sardio'n Ka Mausam Momin K Liye Bahaar Hy Is ki Lambi Raatei'n Ibadat k Liye Kafi Hyn Aur Chotey Din, Rozay K Liye Saazgar Hyn..."
No comments:
Post a Comment